Friday, January 15, 2010

"NIZAM"

"NIZAM"

(poet- Unknown)

jo tera na ho jo mera no ho.

jis k sir pe saach ka sehra na ho.
aise nizam ko tour do.

jis mai tere dard ka ilaj na ho.
jis mai gareeb ki laj na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai haq azad na ho.
jis mai puri faryad na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai gareeb ki sunwayi na ho.
jis mai be kasoon se bhalaye na ho
ase nizam ko tour do.

jis mai insaaf na milta ho.
jis mai umeed ka diya na jalta ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai usoolon ki pasdari na ho.
jis mai wadoon ki wafadari na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai asmatoon ka koi mool na ho.
jis mai khushnudi e khuda ka hasool na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai munsiff se insaaf na ho.
jis mai nizam adal shaffaf na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai zindagi aks e islam na ho.
jis mai khuda or rasool ka naam na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai mehnat ka sila milta na ho.
jis main qabiliyat se kam chalta na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai barabari ki rawayt na ho.
jis mai mazlomoon ki hamayt na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai dard ko samajhne wala iwan na ho.
jis main awaam hukmaraan na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai mazahib ka ahteraam na ho.
jis mai muhabbat sab k liye aam na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai hazaroon lashoon pe shoor na ho.
jis mai awami masaayl pe ghoor na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai aslehaa ho par kitaab na ho.
jis mai hamari zaroorat ka nisaab na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai azadi ka izhaar na ho.
jis mai naye dimaghoon ki pedawar na ho.
ase nizam ko tour do.

jis nizam mai tum samajh dar na ho.
jis mai nizam tumhara wafadar na ho.
ase nizam ko tour do.

jis mai nizam tum ko jawabdar na ho.
jis mai tum nizam ko jawabdar na ho.
ase nizam ko tour do....

No comments:

Post a Comment